Posts

zindagi

Aaj yanha to kal wanha,  Aaj choti raat to kal bada din,  Kabhi jeet kabhi haar,  Kabhi nirasha kabhi asha,  Kabhi gum kabhi khushi, Kabhi rona kabhi hasna,  Kabhi jayada kabhi kam,  Kabhi ladna Kabhi manana,  Kabhi safal kabhi asafal,  Kabhi nafrat to kabhi payr, Isi ka naam hai Zindagi

shabd

Shabdon ki kami hoti hai kabhi kabhi apno ko ye batane ke liye ki hum unhai Kitna chahat hai, kuch keh hi nahi pate lekin chahate bhi hain ki wo khud samajh jaye per aisa nahi hota hai, per shabdo ko talash na jaroor chahiye... 

waqt

Hum apni apni zindgi me itne busy ho jate hain ki bhool jate hai, kuch log jo hamare aas pass hain, jo hamari care kerte hain, jo hame dil se pyar kerte hain, wo jaise hain hi nahi. Aur jab waqt nikal jata hai tab hum bus sochte rahai jate hain. Ki kaash... 

sambhalna

Yun chal pade hain, Na koi tikana hai,  Na koi manzil, Fir bhi kadam thamte nahi,  Hai zinda aaj bhi umeed, Ker lo fizaon kitni bhi koshish!! Girenge to Sambhal bhi jayenge, Ker lo fizaon kitni bhi koshish.